Anxiety aur depression ke liye kya karein?

Anxiety aur depression ke liye kya karein - AI Generated image Anxiety aur depression ke liye kya karein - AI Generated image

Namaskaar Dosto,
Anxiety aur depression Hamare Jivan Mein Kuchh Is tarike se Havi Ho chuke hain ki Hamen Nahin samajh Aata ki Ham Kaise Jiye. Bahut sari tension Hamare man mein ghumti rahti hai, Kisi tarike ka Tanav Hamare dimag per rahata hai Hamen Nahin samajh mein Aata ki kya ho raha hai Jivan mein kya Nahin ho raha कभी-कभी chidchidapan gussa Aane lagta hai to yah sab Kyon Hota Hai, Aur is Tanav se is Anxiety aur depression is chhutkara Kaise Paya Jaaye uske liye Kuchh upay Hain jo aapko follow karne padenge.

Anxiety aur depression kiyu hota hai ?

Friends kya aapko pata hai aap koi bhi kam kar rahe ho to man na Lagna aapka Boss aapko Kuchh Suna De aap Agar ghar mein ho log faltu mein aapko Tana Dete Hain faltu ki aapke ghar mein chipchik hoti hai to yah dimag per Tanav Paida karta hai aur ISI se Anxiety aur depression badhta hai. Aapane Dekha hoga aaj ko Chhote bacchon ko bhi bahut jyada gussa Aane Lagta Hai Chhote bacche chidchide Ho Jaate Hain uska reason kya hai.

Kai bar Chhota baccha School Mein Hota Hai bhare Samaj ke andar aap usko thappad maar do vah ek Aise Tanav Mein baith jaega Jo aapane Shayad Socha Na Ho uski mansik Roop per gehri chot pahunchaegi, aap Agar job Karte Hain to job mein itna pressure hota hai itna pressure hota hai 10 jagah ki tension Hamare dimag mein chal rahi hoti hai.

Ghar per paisa dena hai bahan ki shaadi honi Hai Hamare liye Kuchh kapde lene hain biwi ko time dena hai, job agar ache se nhi chali to paisa kese ayega, Paisa Agar Nahin Aaya to Main Ghar per kya jawab dunga Thode Se paise Aate Hain bacche ne Agar Mang liya Kuchh to Main Kaise manage karunga 10 tarike ki pareshani Hamare dimag mein chal rahi hoti hai. Ab vah pareshan hai Kuchh Bhi ho sakti hai XYZ.

Anxiety aur depression ko door kese kare ?

Anxiety aapko hoti hai na to sabse pahle to pani Piyo aap Pani Peene se aapko thoda Achcha lagega Aaram milega dusra morning mein meditation bahut jaruri hai apne dimag ko Shant Rakhna bahut jaruri hai Varna yah Jo depression hai na Tanav aapko kha jaega, depression Aisi chijen Jo aapke mind ko kamjor kar deti hai, ab chijen bhulne lagoge ki aapane kaun si chij kahan rakhi hai bahut sari baten Aisi hongi jo aapko Shayad Yad bhi nahin Rahengi.

To Aise mein aapko Apne dimag ko Shant Rakhna bahut Jaruri Jahan per aapko meditation ki bahut jyada jarurat hai aap Subah utho meditation ke liye OM Jaap karte raho isase Aapke dimag ko Shanti milati Hai. Ab Jo log is Shabd Ko Nahin mante UN Logon Ko Main Bata Dun as a scientific reason hai yah Om shabd aapke Sharir ke Har EK cell ko hilne per majbur kar deta hai aapke Sharir ke Har EK nerve cell ko vibrate kar deta hai.

Jisse ki app bahut acha feel karte hai or aapki body Mein Kahin per pain hai tu Dard ko yah Gayab karta hai aapke depression ko Dur karne mein bahut madad Karta Hai Jab aap Aankh Band Karke Om shabd bolate ho to Achanak dimag Ekant Mein Chala Jata Hai Shant ho jata hai depression se Mukti mil jaati Ho Jaise Aisa Lagta Hai.

Ye Anxiety aur depression sirf Naam Ke word Rah gaye hain Kyunki Logon Ne halva banaa Rakha Hai Ki Mujhko Anxiety aur depression Hai Lekin Hota Nahin Hai jabardasti dimag Mein bhramithale ki mujhe hai hai hai aur yah Barham depression ka Roop Hota Hai. To faltu Ki Chinta Kabhi Nahin Karni chahie koi problem hai to solution nikaalne ki koshish karo lekin Chinta karne se Kuchh Nahin Hota faltu ki depression Hogi aur Kuchh Nahin.

Aur dimag ko Shant Rakhna bahut Jaruri Agar dimag Shant Nahin Rahega to aap Kisi kam Ki Nahin Ho.

Yaha niche me kuch points ke jariye apko samjhane ki koshish karunga ki aap kis tarah se is Anxiety aur depression se bahar nikal sakte ho.

Anxiety aur depression ko bhagane ke steps.

🧘‍♀️ 1. Daily Meditation aur Deep Breathing

Har din 10-15 minute meditation karo.

Deep breathing se dimaag shaant hota hai aur body relax hoti hai. Anxiety aur depression door bhagta hai.

Try apps like Calm, Headspace, ya YouTube meditation guides.

🏃‍♀️ 2. Exercise ko Routine Banao

Regular walking, yoga ya light workout se endorphins release hote hain jo “happy hormones” kehlate hain.

Sirf 30-minute brisk walk bhi kaafi faydemand hoti hai.

📴 3. Social Media Detox

Har waqt notifications aur negative content se dimaag over-stimulate hota hai.

Roz kuch ghante ke liye phone se door raho — specially subah aur raat ko.

☀️ 4. Sooraj ki Roshni Mein Samay Bitao

Vitamin D mood uplift karne mein madad karta hai.

Roz 15-20 minutes sunlight lena faydemand hota hai.

📓 5. Gratitude Journal Likho

Har din 3 cheezein likho jinke liye tum thankful ho.

Yeh tumhara mindset positive banata hai.

🧑‍⚕️ 6. Therapist ya Counsellor se Baat Karo

Professional help lena bilkul sahi hai.

Therapy tumhe apne emotions samajhne aur unhe handle karne mein madad karti hai.

🫂 7. Apne Close Logo Se Baat Karo

Dil ki baat share karna anxiety aur depression ko kam karta hai.

Akele mat raho, kisi trusted dost ya parivaar wale se baat karo.

🎨 8. Creative Activities Mein Raho Busy

Painting, writing, music, cooking — koi bhi hobby pursue karo.

Creative expression tumhara mood boost karta hai.

🛏️ 9. Sleep Routine Set Karo

Har din same time pe sona aur uthna.

7–8 ghante ki neend lena zaroori hai, kyunki neend directly mood ko affect karti hai.

🍎 10. Healthy Diet Lo

Junk food se mood swings aur anxiety badhti hai.

Fresh fruits, vegetables, omega-3 rich food (jaise walnuts, fish), green tea ye sab helpful hote hain.

Agar kabhi lage ki zindagi bhaari lag rahi hai — to khud ko yaad dilana: “Yeh waqt hai, yeh guzar jayega.” Tum strong ho, aur tumhare andar har mushkil se ladne ki shakti hai. 🌈

❣️Aise hi Latest Technology Update dekhe Morning 8 Am (New Delhi, India) Time. Please Visit
My Tech Flip ❣️

Doston yadi aap Technology Ki Duniya Mein interested ho to aap yah Hamara artical pad sakte ho ummid hai ki aapko bahut Achcha lagega Baki aapko Koi Bhi sujhav Ho Hamen niche comment Mein Jarur bataen aur Hamari website ko follow karna na Bhule.

Aap humse comment me question kar skte hai or aap humse Facebook ya Instagram pe Direct SMS karke baat kar skte hai
Facebook: https://facebook.com/MyTechFlip.in
Instagram: https://instagram.com/PrateekYadavLive

Dosto agar apko ye Blog pasand aaya or hamari suggetion pasand aayi to app hamare is blog ko please subscribe kare or niche ye article aap read kar skte hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Xiaomi 14 Civi – Leica centred marvel in your hand DDA provide you Apna Ghar 2025 to 2026 scheme PM Modi ran away from the parliament as if he is scared of Rahul Kiya sach me Petrol diesel and CNG Ban ? Blog me Mat likho AI-Generated Article